Friday, December 26, 2008

Aaj subah soyi thi

Aaj subah soyi hui thi main
Raat rotey na jane kab neend aayi
Aasu ka namkeen paani kone mein
Abhi tak chipka hua tha
Haath mere maathe par rakha tha
Aur chehra us se chipaa tha
Unmuni si main, aaundhi padi thi
Meri zidd bhi atki padi thi.

Aaye tum, aahista se paas mere
Itne kareeb ki saansein chu jaaye
Aur itne door ki dhadkane ruk jaayein
Hatheli khol di tumne meri
Aur lihaaf sarka diya
Kor par rakha namak tumne
Apni madhyama se hata diya
Baal sehlaaye mere fir tumne
Ubharti shikan ko ragad diya
Dheere se paav rakha fir tumne
Mere ukde hue paav par
Aur kohni ka sahara le
Tika diya hatheli pe apna sir
Halke haath se mere gale ko
Tumne phir sehlana chaha
Par ruk gaye tum sirf
Ehsaas ki us seema par..
Merea haath tumne hataya aur
Thamm liya pane haathon mein
Kitna kuch keh diya tumne
Keh na paaye jo baton mein
Meri aankhein band thi…
Apr sab kuch saaf dikh raha tha
Meri bheegi paklein mud chuki thi
Aur tu unmein bandh raha tha…

Main jaanti thu ab meri
Subaah nayi umeed laayegi
Who raat ki saari shankaayein
Andhere mein hi simat jaayeingi
Dikhegay mujhe apna raasta
Aur saath rahega tu sadaa
Par…
Kya karun, tu itne pyaar se
Jab mujhe manane aata hai
Mera ek baar phir se
Zid karne ko jee chahta hai…

Sweksha
13.10.08

2 comments:

  1. Speechless...
    Amazing...

    when something comes from somewhere deep your heart.. thatz amazing

    GOD bless you.. take care AND keep writing...

    ReplyDelete