Tuesday, January 13, 2009

Samjhota aur Vidrooh

Samjhota aur viroodh, jeevan ke kisi bhi mehatvapoorna mod par ham inhi do cheezon mein se chunaav karte hai. Aur yeh bhi satya hai ki dono ke liye hi ek moolya dena hota hai.Shayad sabse kathin faisla isi keemat ka hota hai. Yeh aankna wakai bahut mushkil hota hai ki kiski keemat zyaaada hai, vidroh ki ya samjhhaote ki.
Urdu ka ek shabd hai “khalish”, jiska arth hai kasak. Aur aksar hum sab apne jeewan mein isi khalish ko mehsoos karte hai.Vidroh – aksar hamein gussa, upadrav, kranti aur hinsa ki yaad dilate hai. Hamein aisa lagta hai ki vidroh ek samuhik kriya hai, vidroh 1857 ki kranti hai, jisme hamein agar sabka saath nahi mila toh parajay ho jaayegi. Vidroh mein anishtta badhi nazar aati hai. Jeet ya haar dono hi tay nahi hoti hai. Vidroh ek cricket ke khel ki tarah hota hai, jisme baji kis samay palat jaayegi, tay nahi hota. Vidroh sangathan ki maang karta hai. Vidroh ka kafi had tak yuva shakti se juddav rehta hai. Kyunki hum us umr mein apne hausloon pe, apne bujurgo ke tajurbe se zyaada bharosa karte hai. Ham mein ek josh hota hai, parivartan lane ka, aur apni soch se samaj ki chavvi ko alag rang dene ka.

Samjhota ek paripaktva ki chavi saamne laata hai. Isme sayaam chahiye, samajh chahiye, aur isme dono paksho ki bhagidaari hoti hai. Samjhaota yadi paristhithi so ho toh hum aksar use niyati maan lete hai, aur uski ke anuroop khud ko dhal lete hai. Samjhote mein khud ko badalne ki bahut zaroorat hai. Yeh ek kadhin vachan hai, jise nishtha ke saath nibhane ke liye aatmik bal ki bahut avashyakta hoti hai. Kayi bar hamein aisa lagta hai ki samjhota kaayaron ki nishaani hai. Veer ras ke kavi kayi baar isse sir jhukane, gulaami aur parajay ki sangya dekh chuke hai. Par shayad samjhota bhi utna hi zaroori hota hai jitna vidrooh. Yadi samjhota nahi ho toh na atankwaad kabhi khatam nahi hoga. Aur shayad kabhi hum dusre ke drishtikod ko samjhne ki koshish nahi karenge.


Agar ek taraju mein tola jaaye, toh yeh kehna mushkil hoga ki in dono mein kiska palda bhaari hai. Yeh kabhi ek hi sam mein nahi hote. Kabhi koi uth jaata hai aur kabhi kaoi orr.

Lekin yahan ek baat ka jaan lena zaruri hai, ki shayad Madhya marg kahi aur hi hai.
Vidroh ki jageh viroodh shayad sirf asaan hi nahi, balki zyada kaargar bhi hai. Is se hum apni awaaz utha sakte hai, kisi buraai ke khilaaf apna alag mat rakh sakte hai. Vidroh ke liye saamuhik bal ki avashyakta shayad ho, par virodh vyakigat star pe kiya jaa sakta hai. Virodh mein atma ka sukoon hai, himmat hai.
Aise hi samjhote ke angrezi bhasha mein do matlab ho sakte hai “ Agreement aur compromise”. Jahan agreement mein ek samjh hai, aur dono pakhson ki baat ko ek samaan mehtva milta hai, compromise mein kisi ek pakh ko nuksaan hota hai, use apne jeevan mein asantosh aur kuntha mehsoos hoti hai. Isiliye shayad who parajay ka soochak mana jaata hai.

Ant mein shayad… vidroh aur samjhote mein chunaav karte waqt hum virodh pe agreement kar sakein to manzilein dur nahi, aur raah utni kadhin nahi. Jeevan ke har mod par is chunaav mein apka vivek apke saath rahe, isi shubhechcha ke saath…


n Sweksha
(17.11.2008)

No comments:

Post a Comment